Sunday, December 5, 2010

Lauta do mere College Ke Din


Yeh Degree bhi lelo, Yeh Naukri bhi lelo,
Bhale mujhse lelo who US ka Visa,
Magar mujhko lauta do college ka canteen,
Who TeeKha Samosaa, Who thanda saaa paani,
Who Teekha Samosa, Who thanda saaa paani

Who College ki sabse - purani nishaanee,
Who chai vaalaa jisko - saare kehte the...jaani,
Who jaani ke hathon - ki 'cutting' chai meethi,
Who chup-kese journal - mein Jo bheji thi chitthi,

Who padhte hi chitthi - tha uska bhadakna,
Who chehre ki laali, who aankhon kaa gussaa
Who teekha samosa, who thanda saaa paani..

Kadi dhoop mein - apni room se nikalnaa,
Who project ki Khatir - tha Dar Dar bhataknaa,
Who lecture mein doston - ki proxy lagaanaa,
Who sir ko chidana, aeroplane udaanaa,

Who submission ki raton - ko jagna jagaanaa,
Who vivas ke kisse, who pracs ki kahani....
Who teekha samosa, who thanda saaa paani.

College ki thi - who lambi is raatein,
Who d oston se tapre pe - pyaari is Baatein,
Who gathering ke din ka Jo ladnaa Jhagadnaa,
Who kudiyon ka yuhin - hamesha akadnaa,
Bhulaaye nahin bhool sakta hai koi
Who college ki yaaden!

Lauta do mere College Ke Din

No comments:

Related Posts with Thumbnails